Daag-e-dil humko yaad aane lage
Log apne diye jalane lage
Khud farebi si khud farebi hai
Paas se dhol bhi suhane lage
Ab toh hota hai har qadam pe gumaan
Hum ye kaisa qadam utha ne lage
Kuch na pakar bhi mutmain hain
Ishq mein haath kya khazane lage
Ek pal mein wahan se hum uthey
Baithne mein jahan zamane lage
Apni qismat se hai maqar kisko
Teer par aa ke bhi nishane lage
Daag-e-dil humko yaad aane lage
Log apne diye jalane lage.